नूरी बरकाती और अशरफी के लिए
तिरमिज़ी वास्ती वारसी के लिए
है ये इरशादे मुर्शिद सभी के लिए
ज़िंदगी ये नहीं है किसी के लिए
ज़िंदगी है नबी की नबी के लिए
मालो दौलत पे और दिलकशी के लिए
जाहो हशमत पे और रहबरी के लिए
फ़ानी दुनिया में सबकी खुशी के लिए
ना समझ मरते हैं ज़िंदगी के लिए
जीना मरना है सब कुछ नबी के लिए
रहना खुश है अगर दोस्तों कब्र में
इस तरह से चलो आशिकों कब्र में
आयेंगे मुस्तफा मोमिनों कब्र में
दाग़े इश्क़े नबी ले चलो कब्र में
है चराग़ ए लहद रौशनी के लिए
सुलहे कुल्ली से शिद्दत पे क़ायम रहो
नजदीयों से अदाबत पे कायम रहो
शाने इश्क़ो मुहब्बत पे कायम रहो
मसलक ए आला हज़रत पे कायम रहो
ज़िंदगी दी गई है इसी के लिए
जलवा ए क़ादरियत सलामत रहे
इश्के सरवर की दौलत सलामत रहे
रब्बे अक़बर की नेमत सलामत रहे
मसलक ए आला हज़रत सलामत रहे
एक पहचान दीन ए नबी के लिए
जिनके सदके में है ज़र्रा ज़र्रा बना
जिन को रब ने किया मालिके दो सरा
वो जो हैं बन के आए हबीबे खुदा
ए नसीमे सबा उनसे कह दे ज़रा
मुजतरिब है गदा हाज़िरी के लिए
जिसको सुन कर हर इक क़ादरी झूम उठा
तू भी अब्दुल वसी अब वो मक़्ता सुना
हां वही कह गए हैं जो अख़्तर रज़ा
अख़्तर ए क़ादरी ख़ुल्द में चल दिया
ख़ुल्द वा है हर इक क़ादरी के लिए
Poet : Huzoor TajushSharia Mufti Akhtar Raza Khan Rahmatullah Aleh
Tazmeen : Fida E TajushSharia Sayyed Abdul Wasi
Noori Barkati Aur Asharfi Ke Liye
Tirmizi Wasti Warsi Ke Liye
Hai Ye Irshade Murshid Sabhi Ke Liye
Zindagi Ye Nahi Hai Kisi Ke Liye
Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye
Maalo Daulat Pe Aur Dilkashi Ke Liye
Jaaho Hashmat Pe Aur Rahbari Ke Liye
Faani Duniya Mein Sabi Khushi Ke Liye
Na Samjh Marte Hain Zindagi Ke Liye
Zeena Marna Hai Sab Kuch Nabi Ke Liye
Rahna Khush Hai Agar Doston Qabr Mein
Is Tarah Se Chalo Aashiqon Qabr Mein
Aayenge Mustafa Momino Qabr Mein
Hai Charage Lahad Raushni Ke Liye
Sulhe Qulli Se Shiddat Pe Qayam Raho
Najdiyon Se Adabat Pe Qayam Raho
Shane Ishqo Muhabbat Pe Qayam Raho
Maslake Aala Hazrat Pe Qayam Raho
Zindagi Di Gayi Hai Isi Ke Liye
Jalwa e Qadriyat Salamat Rahe
Ishqe Sarwar Ki Daulat Salamat Rahe
Rabbe Akbar Ki Nemat Salamat Rahe
Maslake Aala Hazrat Salamat Rahe
Ek Pahchan Deen e Nabi Ke Liye
Jinke Sadqe Mein Hai Zarra Zarra Bana
Jin Ko Rab Ne Kiya Malike Do Sara
Wo Jo Hain Ban Ke Aaye Habib e Khuda
Aye Naseeme Saba Unse Kah De zara
Mujtarib Hai Gada hazri ke liye
Jisko Sun Kar Har Ik Qadri Jhoom utha
Tu Bhi Abdul Wasi Ab Wo Maqta Suna
Han Wahi Kah Gye Hain Jo Akhtar Raza
Akhar e Qadri Khuld Mein Chal Diya
Khuld Wa Hai Har Ik Qadri Ke Liye
lashkareRaza.